Tribute to Fanaa

Yeh khuda aaj yeh faisla karde,
Use mera ya mujhe uska karde.
Bahut dukh sahe hain maine,
Koi khusi ab toh muqadar karde.
Bahut muskil lagta hai usseh door rehna,
Judai ke safar ko kum karde.
Jitna d00r chale gaye woh mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.....

****************************************************

Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaaye.......
Tere Ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaaye......

****************************************************
Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
Sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
Pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
Suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....

****************************************************

Phool hun Gulaab kaâ?
Chameli ka mat samjhnaâ?
Aashiq hun aapkaâ?
Apni Saheli ka mat samjhnaâ...

****************************************************

Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye,
Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..

****************************************************

Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karte....

****************************************************

Tere dil mein meri saanson ko jagah mil jaaye,
Tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaaye,
Adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhooren hum,
Magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain hum....

****************************************************

RONE DE TU AAJ HAMAKO TU AANKHE SUJANE DE
BAHO ME LELE AUR KHUD KO BHEEG JANE DE
HAI JO SEENE ME QUAID DARIYA WO CHUT JAYEGA
HAI ITANA DARD KI TERA DAMAN BHEEG JAYEGA..


Na Seher dekho naa piyan ban dekho
Na seher dekho naa piyan ban dekho
Khuda ka ek lauta namonishaaan bhi dekho
Bus nazar uthavo aur mohan dekho, aadab arz hai!!!

Tribute to Sarfarosh

Hosh nahi rehta ,
dyan nahi rehta
Insaan mohhabat mein
Insaan nahi rehta.

Phool khilte hai,
Bahaaron ka samaa hota hai
Aise mausam mein hi to pyaar javaan hota hai
Dil ki baaton ko hoton se nahi kehte,
Yeh fasaana to nigaahon se bayaan hota hai

Dawa bhi kaam na aaye koi duva na lage
Mere khuda kisi ko pyar ki hawa na lage


Kuch maznon bane kuch ranjha hue
Kuch romeo kuch farhad hue
Iss rang roop ki chahat mein
Jane kitane barabad hue(Woh dekhoo.....)

Jise dekho dil ki dhuni ramata hai
Are yeh mandir nahin hai shivala nahin hai
Hasinon se kah do kahin aur jayein
Mera dil hai dil dharmshala nahin hai


Intezar (Henna)

Dil diya, Etebar ki had thi
Jaan di, mere pyar ki had thi
Mar gaye, khuli rahi ankhein
Yeh tere, intezar ki had thi

Umrao Jaan

Wada karke nibhane wale,
kum hote hain..
Ishq na karna, Ishq me,
Ghum hi ghum hote hain..

Duva se

Sunte hai ke mil jati hai, har cheez duva se
Ek roz tumhe mangkar dekhenge Khuda se

Toofan

Toofan kar raha tha mere azm ka tawaf
Duniya samajh rahi thi ke kashti bhawar mein hai..

Khwahish

Toofan mein daali hai jo kashti humne
Badi hasrat se nibhayi yeh Khwahish humne
Na ki kabhi Kinare ki guzarish humne
Khud khatm karli yeh bhi gunjaish humne

Wafa

Dil seh chahoo toh khudai bhi milti hai
Husn ko chahoo toh sirf bewafayai milti hai
Hum na ji payenge inn ruswaiyon mein
Ab to kehde yeh zalim wafayai bhi milti hai!!!

Dil Jalta hai

Hum aas lagaye baithen hai,
Tum wada karke bhool gaye,
Ya muh aake dikha jao,
Ya kehdo ke hume yaad na kar,

Dil Jalta hai to Jalne de ..
Ansoo na baha, Faryad na kar.

Chahat

Humne jiseh chaha ,
Usne chaha kisi aur ko
khuda karee(aur jaroor kare),
Usne jise chaha
woh bhi chahe kisi aur ko!!!

Quoted in 2002

Qayamat(Beauty walking down the street)



Bankar sawarkar jab woh nikale ghar seh
Shor huva hoga yahan seh wahan seh,
Qayamat Qayamat kiseh kehte ho,
Woh dekho Qayamat chali ja rahi hai.!!!

Tasveer

tasveer unki le kar seene se laga lete hai..
badi hasrat se us ko phir ashqon se bhigadete hai

Jung -e- Mohhabat

Jeet haar ka faisla Jung-e-Mohhabat mein hoga
Takdeer ki lakeeron mein yeh kaisa padav hoga
Ab hum na rok paiyenge ish sailaab ko
mohan teri jindagi ka yeh aakhri lamha hoga!!!!

Husn


Apne husn pe itrane wali aye Mehzabeen
Kadam zameen par rakho Nazneen
Yeh Husn toh jawani ka suroor hai Dilnasheen
Dhal jayega char dino ki chandini mein Janasheen !!!

Nashaaa...

Nasha Sharaab mein hota to naachti botal
Nasha Sharaab mein hota to naachti botal
Nasha botal mein kahan , pyalee mein kahan
Nasha jo hai unki aankhon mein hai!!!!