Ghum-e-Zindagi

Aaj pehli baar gham manane ko ji karta hai,
Unki yadon me khud ko rulane ko ji karta hai,
Bahut khushiyan mili is zamane se magar,
Aaj aanso bahane ko ji karta hai

Hichkiyan

Hichkiyan dila kar ye kaisi Uljhan badha Rahe ho
Ankhen band hai phir bhi Nazar aa Rahe ho
Sirf itna batado hume, yaad kar raheho,
Ya phir apni yaad dila Rahe ho

Dosti

Hum dost bankar kisko rulate nahi
Dil mein basakar kisiko bhulate nahi
Hum to dost ke liye jaan bhi de den
Par log sochte hain hum dosti nibhate nahi

Aarmaan-E-Mohabat

Aarmaan-e-Mohabbat ab ye reh gaya baaqi
Na door ho paimana, na door ho saaqi
Muddat ke baad hume ye sukoon mila hai
Hoont mere seede, tere hoonton se saaqi

Chand

Woh chand hai magar aapse pyara to nahi,
Parvane ka shama ke bin guzara to nahi,
Mere dil ne suni hai kuch meethi si aawaz,
Kahi aapne mujhe pukara to nahi ....