Gujarish

Bus ek han ke intezaar mein
Rath yun hi gujar jayegi
Ab toh uljhan hai sath mere
Neend kahan aayegi
Subah ki kiran nazane
Konsa sandesh layegi
Rimzim see gungunayegi
Ya pyas adhoori reh jayegi

Ehsaan

Jiski dhun par duniya naache,dil aisa ek tara hai
Jo humko pyara bhi hai , jo tumko payara hai
Jhoom rahi hai sari duniya jabki hamare geeton par
Tab kehti ho pyar huva hai ,kya ehsaan tumhara hai

Bholapan

Basti Basti ghor udasi,parvath parvath khalipan
Mann hira bemol lut gaya,gish gish reeta tan chandan
Ish dharti seh ush umbar tak,Do hi cheez gajab ki hain
EK toh tera bholapan hai, ek mera deewanapan

Yadein










Khoobsurat yaadon ka basera hai
Dil ke sargamon ka dhindora hai
Kal ki kal par chod de yaara Kyon ki
Aaj mein kal ki khushiyon ka pitara hai

Rang

Math pooch kya haal hai mera tere aage
Math pooch kya haal hai mera tere aage
Tu dekh ke kya rang hai tera mere aage!!!

Ladkiyan

Ankhen milti hai aur Milti bhi nahi
Zulm karti hai aur Karti bhi nahi
Ajeeb maqlooq hai biradri ladkiyon ki
Marti hai hum par aur Marti bhi nahi..

Kasam

Jaan legaya meri jaan jaate jaate,
aur tham gayi meri saanse aate aate,
Khatm kardala zalim ne mujhe bewajah,
yun har jhoot pe meri kasam khate khate!!!!!

Pathar

Pani par Naam kabhi likhte nahi,
Pani pe likhe naam kabhi tikte nahi,
sab log kehte hai hamara dil pathar hai
par pathar pe likhe naam kabhi mitthe nahi.

Mein jab bhi tez

Main jabbhi tez chalta hun nazare choot jate hain,
Koi jab roop gah`dta hun to saa`nseh toot jate hain,
Main rotha hun toh aakar log kandha thap thapate hain,
Main hasta hun toh mujhse log aksar rooth jate hain…...

Bahut bikhra bahut toota thapede seh nahin paaya,
Hawaaon ke isharon par magar main beh nahin paaya,
Adhoora ansuna hi reh gaya yun pyar ka kissa,
Kabhi tum sunn nahin paaye, kabhi main keh nahin paaya......

Saal-e-Nau

Aansoo ko jo Ankhon ki, Palkon pe thamaya hai
Toofan-e-Dil-e-gham ko, Sahil pe Rukaya hai

Tabahi faqat lekar, kabhi Toofan jo Aaya hai
Ashiyan mera bhi maine Lehron pe Banaya hai

Insaaf ka jab maine, jo Saath nibhaya hai
Kafir kabhi Zalim ka Ilzaam lagaya hai

Imaan ko kisi ne, Mohobbat jo bataya hai
Mohabbat ko maine apna, Imaan banaya hai

Umeed ki dor bandhe, Har Saal jo Aaya hai
Ranjish-e-Saal-e-Saal ko, Ashkon mein Bahaya hai

Koi Dewana kehta hai

Koi diwana kehta hai, koi pagal samajhta hai,
Magar dharti ki baichani ko bas badal samajhta hai.
Main tujhse door kaisa hoon, tu mujhse door kaisi hai,
Yeh tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai.

Mohabbat ek ehsason ki pawan si kahani hai,
Kabhi kabira diwana tha, kabhi mira diwani hai.
Yahan sab log kahte hain meri aankhon mein ansoon hain,
Jo tu samjhe to moti hai, jo na samjhe to pani hai.

Samandar pir ka andar hai lekin ro nahin sakta,
Yeh ansoon pyar ka moti hai, isko kho nahin sakta.
Meri chahat ko dulhan tu bana lena, magar sun le,
Jo mera ho nahin paya, woh tera ho nahin sakta.

Bhramar koi kumudini par machal baitha to hungama,
humaare dil mein koi khwab pal baitha to hungama.
Abhi tak dhoob kar sunte the sab kissa mohabbat ka,
Main kisse ko haqiqat mein badal baitha to hungama

Naya Saal(2009)











Aaj ek naya din aaya hai
Aur naye ummeed laya hai
Chalo ek naya aashiyan banayee
Kyonki naya saal aaya hai

Khushiyon bhara gulistan saja hai
Aur usmein ek khoobsurat lamha hai
Chalo ek naya silsila banayee
Kyonki naya saal aaya hai

Har mushkil ka samna karna hai
Aur chattan ki tarah dateh rehna hai
Chalo ek naya mukaam banayee
kyonki naya saal aaya hai

Shiddat ke sath khuda ki ibadat karni hai
Aur mohabbat ka paigam sabko dena hai
Chalo ek aur Noor-e-Taj banayee
Kyonki naya saal aaya hai

Apni manjil ki oar har keemat par badna hai
Aur har mukkamal cheez hasil karna hai
Chalo apna ek naya andaaz banayee
Kyonki naya saal aaya hai

Aaj ek naya din aaya hai
Aur naye ummeed laya hai
Chalo ek naya aashiyan banayee
Kyonki naya saal aaya hai
Kyonki naya saal aaya hai !!!