Ishq

Zarre Zarre mein useeka noor hai

Jhank khudmein woh na tujse door hai

Ishq hai usseh toh sabse ishq karr
Ishq hai usseh toh sabse ishq karr

Ish ibadat ka yehi dastoor hai

Ishmein usmein aur usmein hai wohi
Ishmein usmein aur usmein hai wohi

Yaar mera har taraf bharpoor hai

Mousam

Aaj Mousam ne humse phir dagah kiya

phaila ke badal pani barsadiya

Aankh bhar aayi un lamhon ko yaad karke

Aaj bhir hum ne khudko bhiladiya

chandini

Ek Chand ko Dekhne ki tammannah thi

Ek chere ko choomne ki chaath thi

najane wo kaisi kaali raath thi

na chand tha na chare ki chandni thi

Kya likhun(Reply to ghalib ki nazar)










Socha kalame-e-ishq likhun
Ya phir dil-e- aashique sunavun
Lekin dil seh zuban tak na pavuncha
Isliyee socha bus kora kagaz farmavun

Ghalib ki nazar..

Gar aye kuch taza kalaam
Toh Janab! likha kijiye..
Hae! Woh Ghalib to nahi rahe ..
Kuch aap hi suna dijiye..

Aankhein..

Ishq ke bhi andaz hote hai
Jagti aankhon me bhi khwab hote hai
zaruri nahi ke gham me aansu nikle
Muskurati aankhon me bhi sailab hote hai

Dost.. Dost..

Rishte toh sabhi anmol hote hai
Par ise ahmiyat kuch hi log dete hai
Dil to sabhi ko dete hai khuda lekin
Is mein jagah kuch hi dost lete hai..

Ek lafz me kya tarif karun aapki,
Aap lafzo me kaise sama paoge
Bas itna jaan lein ke zikr jab dosti ka ho
To aankhon mein meri sirf aap nazar aaoge

Ashar-e-Ashiqueen

Ishq ko humne Aankhon mein chupa rakha hai
Chahat ko apni baaton mein chupa rakha hai
Ke Umr Daras-e-Mohabbat, ki taufeeq hojaye
Ulfat to humne sanson mein chupa rakha hai

Ishq mein nasha sa chagaya hai
zindagi mein maza sa agaya hai
Ayine mein nazren unhi ko dhunde
Chehra woh itna mujhe bhagaya hai

Chandni raat mein tumhe, dekhna chahta hoon
Bheegi barsaat mein tumhe, dekhna chahta hoon
Tareef hoti hai khuda ki, dekhne par isliye
Din aur Raat mein, tumhe dekhna chahta hoon

Jhalak ab bhi woh, meri Ankhon mein hai
Manzar kashi jo meri, nigahon mein hai
Mumkin nahin ke, nikal jaye zehen se
Har yaad woh meri, Dil ki panahon mein hai

Poori yun dil ki, fariyad hojati hai
Ankhein band karte hi, Mulaqat hojati hai
Khwabon mein aksar, jo baat hojati hai
Rangeen phir sari, woh raat hojati hai

Mohabbat ka kuch yun anjaam likhdiya
Dil par maine tumhara naam likhdiya
Taa umr rahegi meri shiddat-e-mohabbat
Hisse meine khud apne, yeh kaam likhdiya