Ishq mein ab yeh gawara hogaya
Dushman bhi mujhe ab pyara hogaya
Is Dil ko humesha paak rakhta hoon
Yeh Dil ke jabse tumhara hogaya..
Is goshe mein shama jaladi tumne
Raushan kar duniya sajadi tumne
Ab Dil ki baat jab batadi tumne
Mere Dil ki dhadkan badhadi tumne
Tere zulfon ke saye mein rehlunga
Tere hoton se shabnam main peelunga
ilteja mujhe aur koi nahi, Majid
Main teri ek chahat mein jeelunga
Ishq-e-Inteha - Intense Love
Palkon ke fasanon ko, Khwaab kardiya
Mohobbat ne pathar ko, Nayab kardiya
Ishq ne jo Khatre ko, Sailaab kardiya
Husn ne bhi Samundar ko, Sharaab kardiya
Mohobbat ne pathar ko, Nayab kardiya
Ishq ne jo Khatre ko, Sailaab kardiya
Husn ne bhi Samundar ko, Sharaab kardiya
Waada
Bechain is khadar karke kab aoge
kya hume hasaoge ya phir rulaoge
Aane ka ahad karte ho aur ante nahi ho tum
Kambakht! aakhir diya waada kab nibhaoge..
kya hume hasaoge ya phir rulaoge
Aane ka ahad karte ho aur ante nahi ho tum
Kambakht! aakhir diya waada kab nibhaoge..
Subscribe to:
Posts (Atom)