Shaan-e-Ghalib

Kabhi baatin, to kabhi zaheri kum pad jati hai
Baat Ghalib ki ho to, shayari kum pad jati hai

Phir kya ho ..

Jinke deedar ko nigahein tarasjaye
Woh samne aajaye to phir kya ho
Jinke milne ko baahein tarasjaye
Woh paas aajaye to phir kya ho

Kali khil jaye, hoton se uski
Jo woh muskuraye to phir kya ho

Hawa thahar jaye, palkon pe uski
Jo Palke jhukaye, to phir kya ho

Zameen jag magaye, kadmon se uski
Jo woh ladkhadaye, to phir kya ho

Rukengi saansein, jo paas woh aaye
Phir woh haath badhaye, to phir kya ho

Dikhla hum denge, Mohabbat hai kitni
Woh humko dikhaye, to phir kya ho

Hume sab bataye ke milna toh hai
Koi yeh to bataye, ke phir kya ho

Intezaar...

Kabhi dil to kabhi shama ko jalakar roye
Teri yaadon ko seene se lagakar roye
Raat ki godh mein jab so gayi duniya
To chaand ko tasveer bana kar roye

Khamosh mohabbat ka ehsaas hai woh
Meri khwaaish mera jazbaat hai woh
Aksar ye khayal kyon aata hai dil me
Meri pehli khoj aur akhri talash hai woh

Koi shaam ati hai tumhari yaad lekar
Koi shaam jati hai tumhari yaad dekar
Humein to us shaam ka intezar hai
Jo kabhi aaye, tumhe bhi saath lekar