vindu..(telugu)

naaaku undi oh friend spandu
adi undedi yee sandu
aah sandulo ivvala vindu
vindu lo undi mandu
mandu tho mattu pondu....

Naya Saal - Janemann ke naam

Rah mein tanha chalte rahe
Har din kuch naya dhoondte rahe
Jab seh aap aaye jindagi mein
Jab seh aap aaye jindagi mein, janemannn
Har lamha naya saal karte rahe
Har lamha naya saal karte rahe.....

BEWARE WHEN U PROMISE

CHOOM KAR KE USKO, MAI NE YE WAADA KIYA THA
KISI AUR KO NA CHOOMUNGA, YE DIL NE IRADA KIYA THA
PALTI JO KISMAT MERI, DEKHA USKO KISI AUR KO CHOOMTE HUE
POOCHA TO KHANE LAGI,"WAADA TO TUMNE KIYA THA"

SEENE MAI

Door ho kar unse , ek khalaa si rahgai seene mai
cheer doun ab ye seena, ab youn mazaa nahi jeene mai
kya sabab hai ki hum yuon judaa hai, janoun na
aachi lage sharaab, paani bajaye peene mai
soocha ke dard e ghum kisi se baat ta chaloun
hasta gar ho koi ,to usko rulata chaloun
dekha jub mai ne ghoom ke, to haay kya dekha
har chare per naqab e khushi , aur khalaa hai seene mai

Teer

Hum hosh mein nahi hai
Hum josh mein nahi hai
Teri ek nazar ke teer seh
Hum hum mein nahi hai

Kyun ki .. Khwab ache hai ..

Kashish dil ki, har cheez bhula deti hai
Band aankhon mein bhi, tasveer saja dethi hai
Khwabon ki duniya tum hamesha rakhna
Kyun ki, Hakikat to aksar rula deti hai

Ishqiya

Ab mujhe koi intezaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Woh jo behthe thhe…
Abshaar kahan

Ab mujhe koi intezaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Woh jo behthe the…
Abshaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan

Ummmm….
Aankh ke ek gaaon mein
Raat ko khwaab aate thhe

Aankh ke ek gaaon mein
Raat ko khwaab aate thhe
Chuney se behthe thhe, bole toh kehte thhe
Udthe khwaabon ka aietbaar kahan

Udthe khwaabon ka aietbaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan

Jin dino aap thhe
Aankh mein dhoop thi

Jin dino aap rehte thhe
Aankh mein dhoop rehti thi
Abh to jaale hi jaale hain
Yeh bhi jaane hi wale hain
Woh jo tha dard ka karaar kahan

Woh jo tha dard ka karaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Woh jo behthe the abshaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan

Nagma

Kahin sher-o-nagma bankar
Kahin aasoon mein dhalkar
Woh mile toh mujhe yeh dil
Kayee sooraten badalkar

Tassavur

Gujarteh pal thamthe nahi
Pathjad ka sama dhalta nahi
Umr kat gaye tassavur mein
Umr kat gaye tassavur mein
Lekin dil ka sukoon milta nahi