Ishqiya

Ab mujhe koi intezaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Woh jo behthe thhe…
Abshaar kahan

Ab mujhe koi intezaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Woh jo behthe the…
Abshaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan

Ummmm….
Aankh ke ek gaaon mein
Raat ko khwaab aate thhe

Aankh ke ek gaaon mein
Raat ko khwaab aate thhe
Chuney se behthe thhe, bole toh kehte thhe
Udthe khwaabon ka aietbaar kahan

Udthe khwaabon ka aietbaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan

Jin dino aap thhe
Aankh mein dhoop thi

Jin dino aap rehte thhe
Aankh mein dhoop rehti thi
Abh to jaale hi jaale hain
Yeh bhi jaane hi wale hain
Woh jo tha dard ka karaar kahan

Woh jo tha dard ka karaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan
Woh jo behthe the abshaar kahan
Ab mujhe koi intezaar kahan

Nagma

Kahin sher-o-nagma bankar
Kahin aasoon mein dhalkar
Woh mile toh mujhe yeh dil
Kayee sooraten badalkar

Tassavur

Gujarteh pal thamthe nahi
Pathjad ka sama dhalta nahi
Umr kat gaye tassavur mein
Umr kat gaye tassavur mein
Lekin dil ka sukoon milta nahi