Ghayal

Teri ada ka Qayal hoon main
Ghayal hoon main, Ghayal hoon main

Tabassum mein teri main khichta raha
Tasveer mein meri tu dikhta raha
Mohabbat mein teri ab Pagal hoon main
Pagal hoon main, Pagal hoon main

Shama ki lau se khelta raha
Parvana aag mein jalta raha
Tu hai bhawar to Sagar hoon main
Sagar hoon main, Sagar hoon main

Lafzon mein sab main kehta raha
Nazron mein meri tu rehta raha
Teri Ghazlon ka Shayar hoon main
Shayar hoon main, Shayar hoon main

Tasavvur mein tere peeta raha
Andhere mein hardam jeeta raha
Ranjish-e-sargami ka ab Badal hoon main
Badal hoon main, Badal hoon main

Teri ada ka Qayal hoon main
Ghayal hoon main, Ghayal hoon main

Judayi

Judayi se badhkar saza hi nahi,
Tasavur mein kuch pata hi nahi,
Tasveer seene se hata to di lekin,
Dil se mere woh hata hi nahi

Ajab luft araha hai hijr ka Ghayal,
Mohabbat mein ab woh maza hi nahi

Ek Khat ..

Khat ka mauzuu khat mein likha hi nahi,
Haal-e-Dil kaghaz pe dikha hi nahi,
Pahuncha khat unhe magar afsos hai dost,
Usmein chupa Dil unhe mila hi nahi

Phir seh

Nagma-e-aarzoo likhne ki ek chahat hai
Tere ishq mein doobne ki ek himakat hai
Sisilayee afsaano ka banayenge phir seh
Sisilayee afsaano ka banayenge phir seh.....
Lekin ek hi taj hai bus iski shikayat hai, shikayat hai



Karo ( Kabirdas re-iterated)

Kal ki bath aaj na karo
Aaj ki bath kal na karo
kal perso kisne dekha hai
Joh bhi karo isiwaqt karo


Gulshan ( New Year)

Saal nikal gaya dekhteh dekhteh

phool murja gaya mehekteh mehekteh

Ek nayee gulshan ki talash hai

Ek nayee gulshan ki talash hai, Yeh Khuda

Bhar de jholi baharon seh chalte chalte !