Dost

Aksar duniya mein log kehte hain dost bure hote hain
Magar hum yeh kehte hain ashique konse ache hote hain!!!

Anjuman-e-mushayera

Is anjuman e shayeri ko dil se salaam hai
chu jate zindagi ko is ke kalaam hai
mai ne to ise shayeri ka ek mukaam samjha tha
dar haqiqat ye Aashiquon ka makaan hai

Yaadein

wo yaron ki mehfil wo muskurate pal
dil se juda hai apna beeta hua kal
kabhi guzarti thi zindagi waqt bitane me
aaj waqt guzar jata hai un yadon ko jutane mein

Kasam

Tujhe namamabar kasam hai wahi din seh rath karna
Koi ek bath pooche hazar bath karna
Mere dil ki itni keemat na badavo kaun lega
Jo tumhe na jante ho woh unhe seh gath karna
Woh mohan kya nahi hain woh majid kya nahi hain
Kabhi daag bhool kar bhi na gham mein nijad karna

Dard

Mere dil ka dard door nahi ho sakta
Ish kasti ko kabhi sahil nahi lag sakta
Beech Majdhar mein phansi hai zindagi
Isko apne anjaam tak koi nahi laga sakta

Mohhabat

Yeh duniya gham toh deti hai
Yeh duniya gham toh deti hai
Shareeke gham nahi hoti
Kisike door jane seh, mohhabat kam nahi hoti

Yaad mai teri

Anjaam-e-Mohabbat ka ab ye falsafa bangaya
Aaainaa dekhon to tera chera nazar aagaya
Band karlun aankhen to tasawor tera chagaya
jab soojawon mai to khaab mai tu aagaya

ZAMANA

khushboo-e-Mohabbat ab yun na bikhera kar
Ab imported perfume ka zamana aagaya
Lekar haath mai juuti ab daraya na kar
Kambakth ab AIDS ka zamana AAgaya

BHULADIYA

Na mai tujhe yaad karun
na tu mujhe yaad kar
Aa kar hotun pe jo rukjaye
Aisi Naaa koi faryaad kar

Zamana jisme hue fanah ye dil
Un se kabhi tu pyar na kar
Is jale hue Aashiyane ko tu
Phir se naaa aabaad kar

Jism baki rehgaya rooh ka janaza nikal gaya
saans to ab bhi hai, arman ka janaza nikal gaya
Aarzoo thi ke kabhi tere pehloo mein so jaon
Aarzoo aarzoo hi rehgayi aur janaza nikal gaya

Talash

Manzil ki talash kar raha hoon main
Zindagi seh door ja raha hoon main
Dekho ish kambakht ishq-e-jahan ko
Apne aap ko talash raha hun mein!!!

Aashique

Main keerat ki hadh seh guzar gaya
Ghamein dojahan se guzar gaya
Ghamein aashique tera shukriya
Main kahan kahan seh guzar gaya

Pehli nazar

Hai woh pehli nazar kitna yaad aati hai
Hai woh pehli nazar kitna yaad aati hai
jadoo aisa chaa jata hai zehan mein mere
Har taraf bus tu hi tu nazar aati hai

Daman

Aye bewafaa, tujhse door rehkar
Mein to bahut khuush hoon

Daman mein mere bhi
Khushiyon ki bauchar hogi

Tu hi nahi akeli, Mere liye bhi bhagwaan ne
ladkiyon ki kahin line lagayi hogi

TERI YAAD

Hum ne kab unse milne ka wada chaha
Door reh kar bhi unhe zyada chaha
Yaad aayi woh aur bhi shiddat ke saath
Jub hum ne unhe bhulana chaha

Junoon

Tere judai ke gham ko
apne daman mein chupa lete hain
Tujse door rehkar
har lamha aasoon baha lete hain
Tere isqh ke junoon ko
apne sason mein basa lete hain
Tujse wafa ki ummeed mein
harbar khud ko qurban kar lete hain

Angareh

Kasam lelo jo mehfil mein tumhe danistah dekha ho
Nazar akhir nazar hai beErada uth gaye hogi
tazub kya lagi agar aagayee tum seene mein
Hazaron dil mein angareh bhare the lag gayee hogi

Sath

Chand suraj sitare sab uske sath mein rahe
jab talak tera hath mere hath mein rahe
Aur shaaq seh toot jayee woh pathe nahi hain hum
Andihiyon seh keh doh apni aukat mein rahe

Hunar

Parindo ki parwah jo hoti hai unchee
Yeh pehle huve unke parr bolte hain
Woh log khamosh rehte hain aksar
zamane ke jinke hunar bolte hain

Jasn

Ab jeet kar hi lautenge ke shuruwat hogaye hai
Ab jasn ke danke bajenge kamjori seh bath ho gaye hai

Nijam

Halaat ne badle yun gulshan ka nijam
Phool murjaye hain katon mein bahar aayee hai