Pardesi ...

Tumhe main Dil se lagana chahta hoon
Hal-e-Dil kuch batana chahta hoon
Pyar hi din aur pyar hi shaam, jo
Pyar woh tum par jatana chahta hoon

Lagti nahi neend aur aati nahi Nijaat
Shama jab yaad ki Jalana chahta hoon

Neend se tumko Jagana Chahta hoon
Nazron se tumko Satana Chahta hoon
Baaton se tumko Behlana Chahta hoon
Rulakar main tumko hasana Chahta hoon

Tumhe jo yakeen Dilana chahta hoon
Reth par likh kar Dikhana chahta hoon
Lakh hain armaan aur baat bhi sach hai
Bus Milne ka koi Bahana chahta hoon

Ghar ab main wapas aana Chahta hoon
Ghar main apna Basana Chahta hoon..

No comments: