Dil ki suno ...

Gar ho yeh mushkil ke kya kijiye
Kabhi chupke Dil ki, Sunakijiye
Mitana ho humko to ae! bekhabar
Muskuraiye, Humko Sada Dijiye

Gar ho yeh mushkil ke kya kijiye

Jaanjaye na koi is maut ka sabab
Na gumnam yun humse milakijiye
Aajayegi dhadkan guzarne ke baad
Yun khulkar na humko Dikhakijiye

Waqif hain khoob Ishq se hum
Chahe yeh jitna Chupalijiye
Yakeen hai ke humsa koi dooja nahin
Kar Kyun na gale se Lagalijiye

Gar ho yeh mushkil ke kya kijiye

Iqraar se ek baar chain hojaye
Chahe phir jitna Satalijiye
Asan hai ladna Mohabbat mein mana
Asan hai yeh bhi, Manalijiye

Mohabbat ki rasm koi aisi bhi hai
Dhadkan se Dhadkan Milalijiye
Ta umr dhadkegi Shiddat-e-Mohabbat
Ek bar jo Rukh se Hawa Dijiye

Gar ho yeh mushkil ke kya kijiye
Kabhi chupke Dil ki, Sunakijiye

Kuch khaas ..

Mujhe sulane ki khatir jab raat aati hai
Hum so nahi pate raat khud so jati hai
Puchne par dil se awaz yeh aati hai
Aaj unhe yaad karle raat to roz ati hai......


Har koi tumsa yun khaas nahi hota
Jo khas hota hai wo kabhi paas nahi hota
Yakeen na aye to chand ko hi dekho
Jiske dur hote hue bhi duri ka ehsas nahi hota...


Aasman ki sair hum kar aye
Har ek taare se dosti kar aye
Ek taara khaas tha hum apne saath le aye
Varna sonchiye aap zameen par kaise utar aye.....


Kab toot jaye kasam hi to hai
Kab badal jaye nazar hi to hai
Tum mere saath ki aadat na dalna
Kab chhoot jaye zindagi hi to hai....