Gar ho yeh mushkil ke kya kijiye
Kabhi chupke Dil ki, Sunakijiye
Mitana ho humko to ae! bekhabar
Muskuraiye, Humko Sada Dijiye
Gar ho yeh mushkil ke kya kijiye
Jaanjaye na koi is maut ka sabab
Na gumnam yun humse milakijiye
Aajayegi dhadkan guzarne ke baad
Yun khulkar na humko Dikhakijiye
Waqif hain khoob Ishq se hum
Chahe yeh jitna Chupalijiye
Yakeen hai ke humsa koi dooja nahin
Kar Kyun na gale se Lagalijiye
Gar ho yeh mushkil ke kya kijiye
Iqraar se ek baar chain hojaye
Chahe phir jitna Satalijiye
Asan hai ladna Mohabbat mein mana
Asan hai yeh bhi, Manalijiye
Mohabbat ki rasm koi aisi bhi hai
Dhadkan se Dhadkan Milalijiye
Ta umr dhadkegi Shiddat-e-Mohabbat
Ek bar jo Rukh se Hawa Dijiye
Gar ho yeh mushkil ke kya kijiye
Kabhi chupke Dil ki, Sunakijiye
1 comment:
Bahut khoob, Umda sher.
Lage rahoo
Post a Comment