{found these on internet}
Qaatil ki ye daleel, Munsif ne maan lee
Maqtool khud gira tha, Khanjar ki nok pe
Maqtool khud gira tha, Khanjar ki nok pe
Kardo tabdeel adalaton ko maikhanon mein
Suna hai nashe mein koi, jhoot nahi bolta.
Tumhara shahar, Tum hi Qatil,
Tum hi Muddai, Tum hi Munsif,
Humein yaqeen hai, humara qasoor niklega.
Guzarta hai har shaks chehra chupaye
Koi raah mein aaina rakh gaya hai
Zakhm laga kar, us ka bhi kuch haath khula,
Main bhi dhoka kha kar kuch chalak huwa.
Kuch der ki khamoshi hai, phir shor ayega.
Tumhara sirf waqt hai, humara daur ayega.
Apne maslaq ki masjid dhondte dhondte
Hum kitne namaz-e-qaza kar chuke hain.
Main rehmat-e-khudayi mein, neymat talashta raha.
Khuda tha zarre zarre mein, main saari kayenaat talashta raha.
Meri saans ka kya bharosa, kahan saath chod jaye.
Meri zaat se wabasta logon, mujhe muaf karke sona.
Sogaye bache ghareeb ke jaldi, ye sun kar.
Farishte aate hain khwaab mein roti lekar.
Nadamat ke charagon se badal jati hai taqdeerein.
Andheri raat ke aansu, khuda se baat karte hain.
Chota banke raho toh badi badi rehmatein milengi,
Kyun ke, bada hone par, Maa bhi god se utar deti hai.
Main ghar mein baith ke padta raha safar ki dua.
Unn ke vaaste jo mujh se door ja rahe the.
Ghairon se poochti hai, wazifa nijaat ka.
Apno ki saazishon se pareshan zindagi.
Aarzu, hasrat, umeed, shikayat, aansu.
Ek tera zikr tha, aur beech mein kya kya nikla.
Ye tum ne kaisa rabta rakha
Na qareeb aye, na fasla rakha.
Nafrat bata rahi hai ke,
Mohabbat ghazab ki thi.
Hae! adaab-e-muhabbat ke taqaze 'Sagar',
Lab hile aur shikayat ne dam tod diya.
Mujhe bheja tha duniya dekhne ko
Main ek chehra taakta reh gaya
Itr ki sari shishiyan khareed daali.
Woh teri saans ki khushbu kahi nahi mili.
No comments:
Post a Comment