Koshish

Hawa mein bina ude phat jayee
woh patang hi kya
Pani dalte hi dhul jayee
woh rang hi kya
Aakhri dum tak jo koshish na kare
Woh insaan hi kya

Sajan

Takdeer banane wale tune kami na ki
Ab kisko kya mila yeh muqadar ki bath hai

Jindagi

Mujhe jindagi seh kya tofah mila
Yeh ranjo ghum ka anokha silsila
Ishq aur ruswayee ka ajeeb tamasha
Koi jeeta koi haara harbar hamesha

Mere dil mein yeh konsa armaan khila
Yeh mohhabat ka ek naya suroor jaaga
Paas aur doori ka meetha sa farmana
Kabhi hasta,kabhi rota raha mein begana

Mujhe jindagi seh kya tofah mila.....

Meine kabhi surat aur na seerat chaha
Bus manga tha ek khoosurat falsafa
Agar mil jayee yeh hasin fasana
Gata rahunga hardam pyar ka tarana

Mujhe jindagi seh kya tofah mila.....

Humne Karke koshish dekh li har jumma
Bus mila pal bhar ka pyar aur gumgeen nasha
karta hun aaga ish bala seh aye zamana
Raho apne hadh tak chod kar yeh aashiqana

Mujhe jindagi seh kya tofah mila
Yeh ranjo ghum ka anokha silsila
Ishq aur ruswayee ka ajeeb tamasha
Koi jeeta koi haara harbar hamesha

Best Source of Ghalib's Poetry

Mirza Ghalib

Haal-e-Dil

Zara dekho, Mohobat pyar ka jaam lete hai
Yehi ek kaam pada hai, isi se kaam lete hai
Bana kar aashiyana barf ki zad mein, jahan walon!
Hifazat ke liye hum Bijliyon se kaam lete hai

MILAN

Ankno ke paimanoo se woh hume dekh rahe they
badnaam wo hogaye: pee to hum rahe they
dooriyoun ke dard se tarashi yeh mohabat
jab do dil mile to
ankhen to nam they per dil jal rahe they
husratoun ke baad jub hui mulakat to
wo aahen bhar rahe they aur lutf hum lerahe they
hai woh ada unki toot ker mere gale lagne wali
toot to wo gaye they per bikhar hum rahe they

Jam

Tere maikhane ka ajeeb dastoor hai saakhi
Usiko jam milta hai jisko peena nahi aata

Unknown

Woh dil hi kya, jo tere milne ki dua na kare
Main tujhe bhoolke zinda rahu, khuda na kare

Mat kar guroor itna, apni haathon ki lakeeron par
Kismat unki bhi hoti hai, jinke haath nahi hote

Hum dushman ko bhi pakeeza saza dete hai
Haath uthate nahi, nazron se gira dete hai

Dua-e-Dil

Zindagi ko ek baar, woh sohbat miljaye
Khuda har ek ko apni, Mohobbat miljaye

Zindagi ki saari museebat miljaye
Har mod pe khadi ghurbat miljaye
Gharz yeh ke aakhri Qayamat miljaye
par har ek ko apni, Mohobbat miljaye

Sissakti woh garam saanse miljaye
Mehekti woh naram Baahein miljaye
Guzarti woh unki raahein miljaye
Har ek ko apni, Mohobbat miljaye

Bechain Dil ko yun raahat miljaye
Khushiyon ko Dil ki Virasat miljaye
Jo Nazron se unki Inayat miljaye
Khuda har ek ko apni, Mohobbat miljaye

Ishq-e-Shama mein yeh Mohlat miljaye
Shama ko Shabnam si haalat miljaye
Parwane ko jal uthne ki Saaqat miljaye
Ab khuda har ek ko, apni Mohobbat miljaye

Tareeq-e-Mohabbat ko ab izzat miljaye
Dil lagane ki sab ko ijaazat miljaye
Ishq kare Sheereen aur Farhad miljaye
BaKhuda har ek ko apni mohobbat miljaye

Har ek Dil ko ab yeh Fitrat miljaye
Insaan ko Insaan se ab izzat miljaye
Is tarah ki duniya ko jo Ibadat miljaye
To Khuda har ek ko apni, mohobbat miljaye

Zindagi mein ek baar, woh sohbat miljaye
Khuda har ek ko apni, Mohobbat miljaye

Zaroorat

Saath tera ho to phir hum ko maikhane ki zaroorat kahan
Khatam ho jayen ge sare gum tum se milkar
To phir sharaab ki zaroorat kahan..

Intezaar

Na kabhi ye chupaya ke pyaar kitna hai
Na kabhi bhi jataya ki dard kitna hai
bus ek hume aur us khuda ko hai maloom
Aapse mulaqat ka hume intezaar kitna hai

Galti

Woh humse khafa huve yeh hamari galti nahi
Woh tumse pyar kar baiteh yeh tumhari galti nahi !!!


Unhe pata tha ki galti unhi ki thi
Isliye unki Ankhen jhuki si thi
Hume pata tha ki galti humari nahi
Isliye humari Ankhen uthi si thi..

Sitam

Tum kisi aur ki hojavo aisa sitam na karna
Hum na ji payenge is bebasi mein warna
Kahin to behta hoga wafa ka jharna
Use umeed mein jindagi ko hai sawarna

Ek Nazar

Lagti hai aag hartaraf, chingari seh
Jhukti hai duniya pyar ke paigam seh
Chahiyee ek nazar katl-e-aam wala
Marti hai husn dil-0-jahan seh !!!