Jindagi

Mujhe jindagi seh kya tofah mila
Yeh ranjo ghum ka anokha silsila
Ishq aur ruswayee ka ajeeb tamasha
Koi jeeta koi haara harbar hamesha

Mere dil mein yeh konsa armaan khila
Yeh mohhabat ka ek naya suroor jaaga
Paas aur doori ka meetha sa farmana
Kabhi hasta,kabhi rota raha mein begana

Mujhe jindagi seh kya tofah mila.....

Meine kabhi surat aur na seerat chaha
Bus manga tha ek khoosurat falsafa
Agar mil jayee yeh hasin fasana
Gata rahunga hardam pyar ka tarana

Mujhe jindagi seh kya tofah mila.....

Humne Karke koshish dekh li har jumma
Bus mila pal bhar ka pyar aur gumgeen nasha
karta hun aaga ish bala seh aye zamana
Raho apne hadh tak chod kar yeh aashiqana

Mujhe jindagi seh kya tofah mila
Yeh ranjo ghum ka anokha silsila
Ishq aur ruswayee ka ajeeb tamasha
Koi jeeta koi haara harbar hamesha

No comments: