Ruswayi

Dard yeh ab Dil ka, Door nahi hoga
Seene mein ab koi, Suroor nahi hoga
Teri Ruswaiyon mein bhara yeh afsana
Gawah Sahi lekin, Mashoor nahi hoga

Udasi (Ek shayar ka Dard)










Ek udasi see cha jati hai
Har pal , har lamha...

Sanaate mein doobh jati hai
Har dagar, har sadi...

Jindagi bematlab ho jati hai
Har mousam , har mukam...

Shaurat bekeemat ho jati hai
Har shaqs , har pehchaan...

Shakshiyat woh bik jati hai
Har mod , har raasta...

Rooh bechain ho jati hai
Har katra, har samundar...

Mauth aasan ho jati hai
Har duniya , har jannat...

Ek udasi see cha jati hai
Har pal , har lamha...

Kaagaz

Hum yaad rahe to theek warna bhula dena,
ho koi khata humse to saza dena,
waise to hum hai khali kagaz ki tarah,
likha jaye to theek warna jala dena.

Aaghaz

Aaghaz to hota hai, anjaam nahi hota
Jab meri kahani mein, woh naam nahi hota

Jab zulf ki kalik mein, Ghuljaye koi rahi
Badnam sahi lekin, Gumnaam nahi hota

Has Has ke jawan dil ke, Hum kyun na chune tukde
Har shaks ki kismat mein, Inaam nahi hota

Din dube hai, ya dubi, baraat liye kishti
Sahil pe magar koi, kohram nahi hota

Aaghaz to hota hai, anjaam nahi hota..

Ghum

Puchte ho to suno kaise basar hoti hai
raat Khairaat ki sadqe ki sahar hoti hai

saans bharne ko to jeena nahin kehte ya rab
dil hi dukhtaa hai na ab aastiin tar hotii hai

jaise jagi huwi aankhon mein chubhe kaanch ke Khwaab
raat is tarah deewanon ki basar hoti hai

Gham hi dushman hai mera Gham hi ko dil Dhundhta hai
ek lamhe ki judaai bhi agar hoti hai

ek markaz ki talaash ek bhatakati Khushbu
kabhi manzil kabhi tamheed-e-safar hoti hai

Deewana-vaar

Yun teri rehguzar se deewana-vaar guzre,
kandhe pe apne rakh ke apna mazaar guzre.

baithe hain raaste me dil ka khander sajaa kar,
shayad isi taraf se ek din bahaar guzre.

behti huwi ye nadia ghulte huwe kinare,
koi to paar utre koi to paar guzre.

tu ne bhi hum ko dekha hum ne bhi tujh ko dekha,
tu dil hi haar guzraa hum jaan haar guzre.

Tanha

Chand tanha hai, aasman tanha
Dil mila hai, kahan kahan tanha

Bujh gayi aas chupgaya taara
Thartharata raha dhuwan tanha

Zindagi kya isi ko kehte hai
Jisn tanha hai aur jaan tanha

Humsafar koi gar mile bhi kahin
Dono chalte rahe tanha tanha

Jalti bujhti si roshni ke pare
Simta simta sa ek makaan tanha

Raah dekha karega sadiyon tak
Chod jayenge yeh jahan tanha

Faaslein..

Kuch poocha hota kuch to bataya hota.
Yeh faaslon ko kuch to ghataya hota.
Yakeenan dil ko takleef na hoti.
Kuch pyar mein humko sataya hota

Majboor

Swayam door ho tum bhi ,swayam seh door hain hum bhi
Bahut mashoor ho tum bhi ,bahut mashhoor hain hum bhi
bade magroor ho tum bhi ,bade magroor hain hum bhi
Ateh majboor ho tum bhi ,ateh majboor hain hum bhi

Hosh

Hamare sher sun karke bhi jo khamosh itna hai
Khuda jane guroore husn mein madhosh kitna hai
Kise pyale ne poocha hai soorahi seh sabab mein ka
Jo khud hosh ho woh kya batayee hosh kitna hai

Gehraye

Panahon mein jo aaya ho toh uspar war kya karna
Jo dil hara huva ho ush pe phir adhikar kya karna
Mohhabat ka maja toh doobne ki kash-m-kash mein hai
Jo ho maloom gehraye toh dariya paar kya karna

Muqqadar aur Maikhana

Milgaya tha jo muqqadar woh kho ke nikla hun
Mein har ek lamha harbar roke nikla hun
Rahe duniya mein mujhe koi bhi duswari nahi
Mein teri zulf ke peechon seh hoke nika hun

Mehfil mehfil muskana toh padta hai
khud hi khudko samjana toh padta hai
unki aankhon seh hokar dil tak jana
Raste mein yeh maikhana toh padta hai

Mohhabat

Jo dharti seh amber jode uska naam mohhabat hai
Jo sheshee seh pathar tode uska naam mohhabat hai
Katra katra sagar tak toh jati hai har umr magar
Behta dariya wapas mode uska naam mohhabat hai

Tehzeeb

Duniya yeh mohabbat ko mohabbat nahi deti
Inaam badi cheez hai dualat nahi deti
Dene ko de sakta hun mein kise gali
Lekin meri tehzeeb izazat nahi deti

Barbaad

Yeh dil barbaad karke ishmein kyon aaabad rehte ho
Koi kal keh raha tha tum eellahabad rehte ho
Yeh kaisee shoharaten mujko aata kardi mere mola
Mein sabchuk bhool jaata hun magar tum yaad rehte ho

HAI YE KAISI MOHABAT HAI

Neend aane se phele teri tasveer aajati hai
aankh khulne tak wo zehen mai taherjati hai
jab dekha maine aaina to hai kya dekha
aks to mera per shakal teri nazar aati hai

jaagte tum ho, neend meri udjati hai
soote tum ho, aur chain mujhe miljata hai
tu jab hasen, chera mera khiljata hai
jab mayus ho tum, ankh meri bhar aati hai

Tasawor karta hun, tum ko seene se lagata hun
khudko bhulakar, tumhari khusboo mai khojata hun
katte nahi hai ye kambaqt judaii ke din
har pal har lamhe ka hisaab karta hun