Udasi (Ek shayar ka Dard)










Ek udasi see cha jati hai
Har pal , har lamha...

Sanaate mein doobh jati hai
Har dagar, har sadi...

Jindagi bematlab ho jati hai
Har mousam , har mukam...

Shaurat bekeemat ho jati hai
Har shaqs , har pehchaan...

Shakshiyat woh bik jati hai
Har mod , har raasta...

Rooh bechain ho jati hai
Har katra, har samundar...

Mauth aasan ho jati hai
Har duniya , har jannat...

Ek udasi see cha jati hai
Har pal , har lamha...

1 comment:

Majju said...

Version 1.1

Ek udasi see cha jati hai
Kya pal , Kya lamha...

Sanaate mein doobh jati hai
Kya dagar, Kya sadi...

Jindagi bematlab ho jati hai
Kya mousam , Kya mukam...

Shaurat bekeemat ho jati hai
Kya shaqs , Kya pehchaan...

Shakshiyat woh bik jati hai
Kya mod , Kya raasta...

Rooh bechain ho jati hai
Kya katra, Kya samundar...

Mauth aasan ho jati hai
Kya duniya , Kya jannat...

Ek udasi see cha jati hai
Kya pal , Kya lamha...