Puchte ho to suno kaise basar hoti hai
raat Khairaat ki sadqe ki sahar hoti hai
saans bharne ko to jeena nahin kehte ya rab
dil hi dukhtaa hai na ab aastiin tar hotii hai
jaise jagi huwi aankhon mein chubhe kaanch ke Khwaab
raat is tarah deewanon ki basar hoti hai
Gham hi dushman hai mera Gham hi ko dil Dhundhta hai
ek lamhe ki judaai bhi agar hoti hai
ek markaz ki talaash ek bhatakati Khushbu
kabhi manzil kabhi tamheed-e-safar hoti hai
No comments:
Post a Comment