Aaghaz

Aaghaz to hota hai, anjaam nahi hota
Jab meri kahani mein, woh naam nahi hota

Jab zulf ki kalik mein, Ghuljaye koi rahi
Badnam sahi lekin, Gumnaam nahi hota

Has Has ke jawan dil ke, Hum kyun na chune tukde
Har shaks ki kismat mein, Inaam nahi hota

Din dube hai, ya dubi, baraat liye kishti
Sahil pe magar koi, kohram nahi hota

Aaghaz to hota hai, anjaam nahi hota..

No comments: