Shararat na hoti, Shikayat na hoti,
Nayno mai kisiki nazakat na hoti,
Na hoti bekarari na hote hum tanha,
Jo jahan mai kambakht ye mohabbat na hoti,
Na hote sapne, ye khawboo ki duniya,
kisi ko chahat ki tamana na hoti,
Na zulfo ki mehek, na phulo ki khusboo,
Yaadon me unki ye raate na kat ti,
Jo na hoti mohabbat ye aansu na hote,
Dil bhi na khota aaj tanha na rote
Deewano si apni ye halat na hoti,
Jo jahan me ye kambakht mohabbat na hoti!!!!!!!!!
- Benaam Shayar
No comments:
Post a Comment