Judaai

Gardish-e-aasman ke har nazare seh bachana
Ya khudaya humko har galat ishare seh bachana !!!

koi acchi si saza do mujh ko,
chalo aisa karo bhula do mujh ko,
tum se bichdu to maut aa jaaye,
dil ki gehraiyo se dua do mujh ko!

Chehre pe ashkon ki lakeer si ban gayi
Jo na chaaha tha vo takdeer si ban gayi
humne to chalaayi thi ret pe ungli
gaur se dekha to unki tasveer si ban gayi

dil jeet le wo jigar hum bhi rakhte hai
qatl kar de wo nazar hum bhi rakhte hai
wada kiya hai kisi se sada muskuraane ka
warna in aankhon me samundar hum bhi rakhte hai

Kaun kehta hai tumse humari judai hogi
yeh khabar kisi dushman ne udaai hogi
Hum to humesha rahenge dil mein aapke
Muddat mein humne jagah kuch to banai hogi

zamane se nahi hum tanhai se darte hai
pyar se nahi hum ruswai se darte hai
milne ki arzoo bahut hoti hai dil mein, lekin
hum milne ke baad ki judaai se darte hai

Ji Chahta hai..

unse roz milne ko jee chahta hai
kuch sunne sunane ko jee chahta hai
unka manane ka andaaz hai kuch aisa nirala
ke aaj phir rooth jaane ko jee chahta hai..

Sheesha Dil

sheesha dil jab kisi ka toot ta hai
gham ka dariya aankhon se phoot ta hai
kya guzarti hai us dil par kuch puchiye na
jab kisi ka saathi kisi se choot ta hai

mohabat ka sabaq

Tere ishq ne jaanam kuch aisa sabaq diya
kisi aur se ab dil mohabbat nahi chahe
socha tha ke tujhse dil ko sukoon milega lekin
dil pe yeh nishaan maine nahi chahe

Zindagi se..

Ghar woh mila hai
Jo Dillagi ki jagah hai
Yahan kat ta hai waqt Dillagi se
Mujhe aur kya chahiye Zindagi se

Raat ko jaag, padhai ho rahi hai
Musassil zahen mein ladayi ho rahi hai
Main hoon, Moid hai, aur hai raat shayari se
Mujhe aur kya chahiye Zindagi se

Milne ka irada hai, masti ki khwahish hai
Amit, Vinay, Moid aur Satish hai
aur aya hai Mohan Sainikpuri se
Mujhe aur kya chahiye Zindagi se

Mujh par woh da parda haath hai
us par se in doston ka saath hai
Khush hoon main ab jo khudhi se
Mujhe aur kya chahiye Zindagi se

Dastan-e- Mohhabat

Aaj apni dastan kalam seh likhun
Ya phir dil ki zuban seh kahun
Mein mohhabat phir seh karun
Ya phir khud ek kahani banun

Aye khuda bata teri raza kya hai...

Usko apne palkon ke chaman par rakhun
ya phir dil ke jarokhon par basavun
Mein usko apne aaghosh mein samavun
Ya phir uski zulfon mein bus javun

Aye khuda bata teri raza kya hai...

Uski umeed par harbar khara utrun
Ya phir apne zameer ko parkhun
Mein chahat mein farhaad banjavun
Ya phir apni zindagi savarun

Aye khuda bata teri raza kya hai...

Uski galiyon mein phir seh ghoomun
ya phir apni manzil ki aur badhun
Mein is kashm-a-kash ko todun
ya phir apni sanson ko rok dun

Aye khuda bata teri raza kya hai...

Aaj apni dastan kalam seh likhun
Ya phir dil ki zuban seh kahun
Mein mohhabat phir seh karun
Ya phir khud ek kahani banun..

Aye khuda bata teri raza kya hai...

Jigar(Response to ishq ki kahani)

Sher-o-shayari ka shauq hum bhi rakhte hain
Thoda ishq karne ka rutba hum bhi rakhte hain
Toh kya har dam bewafayee daman lagi
Majnu aur ranje ka jigar hum bhi rakhte hain

Ishq ki Kahani

Mohobbat ki sada har dum yeh kahani hai
Duniya hai zalim, aur majboor jawani hai
Ishq ka Imtihan, ek shayar ki zubani hai
Jo Behjaye to khoon, aur na bahe to pani hai

Majnu, Ranjha, Heer aur Farhad ke siva
Hai ek aur kahani, jo logon ko sunani hai

Ishq mein jeena aur Ishq mein marjana
Zindagi hai yehi, aur yehi zindagani hai

Jiteji har dum, aur mar kar yeh malaal
jo kehni thi baat, woh baat abhi baaki hai

Arsh hai, Jannat hai, Farishta aur main hoon
aur hai yeh umeed, ke mulaqat abhi baaki hai

Mujhe lauta diya jaye, phir wohi duniya mein
Mara nahin hoon main, ke jazbaat abhi baaki hai

Dikhlana hai unhein, ki mohabbat hai kitni
abhi aur hai Ishq, aur Imtihaan abhi baaki hai

Gharz yeh, ke Fanaa hojaye, Dard yeh bayaan hojaye.
Phir ji uthegi khaak, yeh gumaan abhi baaki hai

Har saans mein tum, har lamhe mein tum
Hai dhadkan mein tum, ke Jaan abhi baaki hai

Ishq na kijiye (Response to Ghum-e-Ishq)

Aalim-e-hosh kehta hai ishq na kijiye
Dil-e-barbad hai yeh mashooq-e-ghayal

Harbar pyar ke imtihan par
Wafa ki sooli chada hai majnu pagal
Jitna karega waqt barbaad laila par
utna hoga tu zaaya har pal

Aalim-e-hosh kehta hai ishq na kijiye...

Talim mili thi irfaan-e-akl ke panno par
Chahat ke zunoon ne parda kar diya filhaal
Jal raha hai dil naar-e-jahan par
Ho gaya tu namah ke kalam pe halaal

Aalim-e-hosh kehta hai ishq na kijiye...

Katra katra bahaya tune ush par
Kya mila tujhe bus ifraat-e-zalaal
Ab to kar taubah har lamhe par
Nahi to reh jayega tu bankar malaal

Aalim-e-hosh kehta hai ishq na kijiye...

Nayee subah ke chasme-e-chiraag par
Khud ko karke pak ban ja jalaal
Chod de aashiqeh-e-mohhabat ko ish mukam par
Chu sakta hai har bulandi yoon kamal

Aalim-e-hosh kehta hai ishq na kijiye
Dil-e-barbad hai yeh mashooq-e-ghayal !!!


Bibliography: For those who are weak in urdu :)
Namah- history
Irfaan- Knowledge
Aalim- Intelligence
kalam- pen
Katra- drop
ifraat- plenty
zalaal- insult
Talim- preaching
pak - pure
Jalaal- Majestic
mashooq- Lover

PS: Rough Copy

Phir Dil Lagaana ..

Dil mein aaj phir, Batwara humne kiya
Dil lagane ka aaj, irada humne kiya

Mil gayi woh raah, phir se mohobbat ki
Laut ayi hain raatein woh fursat ki
Dil ki bechaini ko phir, zyada humne kiya
ke Dil lagane ka aaj, irada humne kiya

Toofan ke beech chod, hume laut aaye
unki khair ki iltija, hum lehron ko tod aaye
Jafa-e-husn ko phir, kinara humne kiya
To Dil lagane ka aaj, irada humne kiya

Teri ruswayi mein woh lutf mila hai
Ke har roz yahan, qayamat ka silsila hai
Jab shahadat ka ahad, dobara humne kiya
To Dil lagane ka aaj, irada humne kiya

Aaj un nasheeli ankhon ko yaad kar
Paighar yeh phir, Paimane mein daal kar
Saakhi ka jab, sahara humne liya
To Dil lagane ka aaj, irada humne kiya

Shiddat-e-mohabbat ko thukraya hai tumne
Shamma-e-Ishq ko meri, bujhaya hai tumne
Phir bhi jaane kya sitam tere sitam ne kiya
Ke Dil lagane ka aaj phir, irada humne kiya

Dil mein aaj phir, Batwara humne kiya..

Ghum-e-Ishq

Zindagi ab meri, kuch yun kaam aaye
Teri takdeer ke ghum, ab mere naam aaye

Ghum tera kuch is khadar bha gaya mujhe
Ke tere bin jeena, ab agaya mujhe
Ranjishon ko teri, kuch to araam aaye
ke Teri takdeer ke ghum, ab mere naam aaye

Kasam ki kasam, kuch na bataeinge
Muskuradenge, aansu na bahaenge
Teri mukaddar, meri khushiyan tamaam aaye
Teri takdeer ke ghum, ab mere naam aaye

Khud par yeh aakhri ehsaan kar jaunga
Saanse bhi meri, tere naam kar jaunga
Meri saza mein bhi ab woh makaam aaye
Teri takdeer ke ghum, ab mere naam aaye

Zindagi ab meri, kuch yun kaam aaye
Teri takdeer ke ghum, ab mere naam aaye

Khwab

Lafzo ki tarah dil ki kitabo me milenge
Ya banke mehek apko gulabo me milenge
Milne ke liye jaan zara theek se sona
Aaj hum aap se khwabon me milenge

Pyas

Mein yoon milun tujhe
Tera libas ban javun
Tujhe banake samandar
Mein pyas ban javun

Jo Apne aap seh bhagte hain
Woh meri bahon mein aa jate hain

Mein chala(Response to Ghayal)


Mein chala mein chala jindagi ki rah par
Roshini mili hai aaqibat(future life) ke dagar par

Kayee gunah kiyee teri chahat ki zidd par
Kuch maine kuch tumne harbar use mod par

Khata hamesha rahi mere daman par
Tu toh reh gayee pak(pure) ke chaman par

Mein chala mein chala jindagi ki rah par...

Tujhe rakha tha mere dil aur jan ki bazi par
Aur Mujh nachez ko wafa ke imthihan par

Be wafayee thi tere har ek tabbasum(Smile) par
Masoom mohan chad gaya pyar ke aatish par

Mein chala mein chala jindagi ki rah par...

Tofha diya tha maine pyar ke saugat par
Tukhra thi rahi tu hardam usee rukh par

Kho baitha mujko aur apnon ko ish aazmaish par
Aur tu samethi rahi apni khushiyan meri barbadi par

Mein chala mein chala jindagi ki rah par...

Ab jake sambala hun kisi kinare par
Na dekhunga mud kar tere dar par

Chalo doston shuru karen naya daur ish mukam par
Bhool javo purane zakhmo ko aaj ke ishraaq(Day break) par

Mein chala mein chala jindagi ki rah par
Roshini mili hai aaqibat ke dagar par

Kaante

Jo mere sheher mein kuch raushni laye honge
Un charagon ke kayi ghar bhi jalaye honge
Haath uske bhi huwe honge yakeenan zakhmi
Jisne kaante meri raahon mein bichaye honge

Pyar Keejiye

Jism to bohut sawar chuke
Ruh ka singar keejiye
Phool shaukh se na todiye
Khushbuon se pyar keejiye

Aftab chupgaya to kya
Subha nau zaroor ayegi
Shart hai yahi ke waqt ka
Thoda intezar keejiye

Ghayal

Jabse choda hai tumne, haath aur saath bhi
Ghayal huwe tab aur ghayal hai aaj bhi

Tere raushan chechre ka kya kehna
Pheeka hai suraj aur pheeka chirag bhi

kambaqt mujh nacheez se kya bhool huwi, ke
Thukraya hai tumne aur thukraya samaj bhi

Yun to safar huwa tere pyar bhare sagar mein
Lekin pyasa mai tab aur pyasa mai aaj bhi

Majnu mujhe duniya se kya lena
Tu hi mera Taj aur tu hi Mumtaz bhi

Tere haathon mein hai ab meri aabru
rakhle meri izzat aur rakhle meri laaj bhi

Mujhe chod kar jaane wale O zalim
Hojayegi pagal aur hojayegi barbaad bhi

Main hi hoo jo beinteha chahta hoon
yeh kahegi meri ruk aur kahegi laash bhi

Dastan-e-Mohabat sunkar meri
Ro pada Moid aur rota hai Minhaj bhi

Jabse chodahai tumne mera haath aur saath bhi
Usi zindagi ke mod par, hum rukein hai aaj bhi..

Saanse

Tumhe dekhta hoon, Aur Sans leta hoon main
Yaad karta hoon, Aur Sans leta hoon main

Salamti ko tumhari, khuda ko yaad kar
Fariyad karta hoon, Aur Sans leta hoon main

Samundaron ko cheer kar, aur badalon pe bad kar
Awaaz deta hoon, Aur Sans leta hoon main

Shiddat-e-Mohabbat mein, Dil ki gehraiyon se
Izhaar karta hoon, Aur Sans leta hoon main

Dhadkano ko apni, dhadkano se teri milalu
Umeed karta hoon, Aur Sans leta hoon main

Ishq, Pyaar aur mohabbat, yeh har roz
Wirdd karta hoon, Aur Sans leta hoon main

Milunga tumhe aur milunga zaroor
Dua karta hoon, Aur Sans leta hoon main

Meri inteja ko aye Rab, teri raza miljaye, ke
Intezar karta hoon, Aur Sans leta hoon main..

Tum Nazar aane Lagi ho..

Mujhe tum aur tum nazar aane lagi ho
Har taraf har jagah tum hi, chane lagi ho

Hoton se na nikle, Jo lafzon mein na bole
Woh nazron se sab ab, Batane lagi ho

Bahon mein aana, Zulfon se khelna
Palkon ko yeh khwaab, dikhane lagi ho

Awaz dena aur dekar chup jaana
Yun khwabon mein bhi tum, satane lagi ho

Rafeeqon ka saath, aur doston ki kami kya
Akele mein mujhe tum, behlane lagi ho

Shaam ko baithna aur Raaton ko jaagna
Phir Subah ko bhi ab, jagane lagi ho

Dair-o-haram, chaman, khushboo aur nazare
ab aena mein bhi tum, nazar ane lagi ho

Aasmano aur badalon mein, jahan se tum
wahin par mujhe tum, Bulane lagi ho

Mujhe tum aur tum nazar aane lagi ho..
Mujhe tum aur tum nazar aane lagi ho..

Khata Hogayi ..

Woh harf nahin ke bayan kar sakoon
Woh sharf nahin ke ada kar sakoon
Teri sanson ko meri, sanson se mila kar
Ab himmat nahin, ke juda kar sakoon

Ek khata ki is khadar, saza huwi mujhe
Ke gunjaish nahi, ab khata kar sakoon
Meri aabru ke itne tukde huwe, Majid
Mumkin nahin, ab jama kar sakoon

Katl-e-aam

Mohabbat ka ab yeh naya naam hoga,
ki Tere naam se ab katl-e-aam hoga,
Jab tak har majnu par jaari ilzaam hoga,
katil-e-Ishq humesha phir Gumnaam hoga

Shaheed-e-majnoo(Response to Katl-e-aam)

Kyon jung-e-mohhabat ched di aapne ,
Sukoon-e-jindagi di thi humne
Katl-e-aam hamein nahi karne ,
Yeh to hamari aada-e-ishq hai
Ki shaheed-e-majnoo banaya hai tumne !!!

Dua-e-Ishq

Meri mohabbat mein, usne sila rakha hai
Jisne aap se hume, mila rakha hai
Azeem aur Kareem kehta hai koi
Aur kuch ne uska naam, Khuda rakha hai

Ashar mein aapke jo chupa rakha hai,
Us Dua ki janib, sar jhuka rakha hai,
Ab Dua ko Jab, Haath utha rakha hai
Khud ki arzi ko, humne Bhula rakha hai,

Dua

Ibaadat ko dilse aabad karna
gunahon ko dilse azaad karna
Guzarish hai itni bus hume aapse ke
hume bhi apni duaon me yaad karna

Yadein

Yaad Kartein hai Unhein,
aur Yaad Aati Hi Nahi
Kaise Aaye Woh Cheez
Jo kabhi Jati Hi Nahi

Kuch Jane Kuch Pahchane,
Kuch Anjane Se Log Miley,
Shayed Main hi Deewana, ke
Mujhe Deeewane Se Log Miley.

Intezaar Ke Lamhe Sholey Mein Badalne Lage Hain,
Hum Unka Intezaar Karne Lage Hain,
Woh ab bhi nahi aye ek arse se,
Hum Ghadi se bhi ab Sharminda Hone lage Hain

unke Tasveer Ko Seene Se Laga lete Hai,
Is Tarah Judai Ka Gham Mita lete Hai,
Kisi Lamha jab Unka Zikr Ho Jaye To,
Bheegi Palko Ko hum Jhuka Lete Hai.

Din Tere Khayal Mein Guzar Jata Hai,
Raat Ko Bhi Khayal Tera hi Aata Hai.
Aur Kabhi Khayal Is Tarah Bad Jaata Hai
Ke Aaine mein Bhi Tera Chehra Nazar Aata Hai.

Aap Har Manzil Ko Mushkil Samjhate Hai,
Hum Har Mushkil Ko Manzil Samjhate Hai,
Bada Fark Hai Humare Nazriye Mein,
Aap Dil Ko Dard aur Hum Dard Ko Dil Samjhate Hai.

Har Waqt Muskurana Fitrat Hai Hamari,
Aap Yuhin Khush Rahe Hasrat Hai Hamari,
Aap Ko Hum Yaad Aaye Na Aaye,
Aapko Yad Karna Aadat Hai Hamari

Dard Mein Dil Ke Muskarane Se
Yaad Aaye Kuch Log Purane Se
Main To Do Kadam Bhi Nahi Chal Sakta
Tu Hi Aaja Kisi Bahane Se..

Jinki Tamanna Dil Mein Thi,
Judai Ab Hum Unki Sehte Hain,
Fursat Nahi Unhe Baat bhi Karne Ki,
Ab Hum bhi hamesha Khamosh Rehte Hain

Na Milne Ki Khushi, na Bichadne Ka Gham,
Na Udaas, Na Tanha Hai Hum.
Kaise Kahe Kaise Hai Hum.
Bas Aapke Bina ab Akele Hai Hum.

Ansoo se Palak Bhiga Lete hai,
Yaad Teri aye, to ro Lete hai.
Socha hai Ke Bhoola denge tujhey lekin,
Har Baar hum Faisla Badal lete hai.

Shiddat

Badi shiddat seh un lamhon ko kagaz par likha hai
(Arey) Zalim yeh na kaho badi bey tawaj seh likha hai !!!

PS: Bade bade ghayalon seh gujarish hai ki is shayar ke jazbaat ko samjhe

Jawab:
Hausle
Jawani ke Kuch Seekhe Nahin Jaate
Sitam
Adaon ke, Yun Likhe Nahin Jaate..

- Majid Ghayal

Meel Ka Pathar(Response to Ashar-e-Mazi)

Meel ka pathar na bano mere dost
Ban javoge khote sikkeh

Kadam badavo zamane ke sath
Rahoge har manjil par tikkeh

Kar gujar javoo kuch aisa
Ki duniya har dum yaad rakkeh

Jeelo jindagi poori poori
Na reh jayee tamannaye fikkeh

Har javan dil ko dikhavo
Khushiyon mein jikkeh

Ban javo misaal aur mashall aisa
Har kisiko jindagi ki roshni dikkeh

Meel ka pathar na bano mere dost
Ban javoge khote sikkeh !!!


PS:Welcome to extend this

Dil Seh

Teri chahat mein jannat tookhra du
Teri mohhabat mein duniya chod du
Bus ek baar dil seh keh do jaanu
Mohan ko apni sason mein basa lu!!!

Ashar-e-Mazi

Badle nahi the hum Badla zamana hai
Hume bhi aaj wohi silsila dohrana hai
Fitrat-e-Shama hai, raushan shama hai lekin
Shiddaat-e-raushni ka zamin parwana hai
Apne to zakhm batladiye hai logon ne
Muddat se laga khanjar hume bhi dikhana hai
Dost mujh Majid se hogaye door, rafta rafta
Kami-e-Shiddat–e–Dosti to ek bahana hai
Harj nahi ke ranjishein aur bhi aye hum par
Abru ko sukoon hai, ke kissa yeh purana hai
Ab jaake mila hai yeh rasta fursat ka
Jigar ko chain bhi ab darmiyana hai
Badle nahi the hum Badla zamana hai
Hume bhi aaj wohi silsila dohrana hai

Ishq-e-Jaana

Ek lamhe mein unhone Zindagi sawar di
Ek lamhe mein unhone Zindagi ujad di
Kasoor unhein kya dein, ke kasoor humara hai
Jo do lamho mein
humne, apni Zindagi guzar di

Aap se door kaise reh pate
Dil se aapko kaise bhula pate
kash aap sapno mein nahi, sheeshe me basa karte
Ke khud ko bhi dekhte to aap nazar aate

Yadein rukti nahi rok pane se
Dil rukta nahi tere samjhane se
Ruk jati hai dhadkan tujhe bhool jane se
Hum yaad karte hain tujhe, jeene ke bahane se

Mohan ki shayari

unke chehre ko dil mein chupa rakha hai
unki yadon ko seene seh laga rakha hai
pata nahi yaad wohi aaten hain kyon
dost to yun auron ko bhi bana rakha hai


Ek hasein shaam hi to mangi thi
Sara jahan to na manga tha
Kyon apne waqt pe itna itrateh hoo
............ .......... .......... ......... .........
Kabhi hamara waqt bhi ayega
jab hum na honge tumhare liyee

Bulandi

Kadam kadam par kante bechathi hai yeh duniya
Na todh payegi tere hoshle ko yeh duniya
Mohan choo jayega ush Bulandi ko har keemath par

Bus dekhti reh jayegi yeh duniya!!!

Khayalat

Waqt Ke Aanch Par Pathar Bhi Pighal Jatey Hain
Kamkahay Toot Kar Ashkon Mein Badal Jatey Hain
Umar Bhar Yadh Kisey Rakhta Hai Koi
Waqt Kay Sath Khayalat Bhi Badal Jatey Hain!!!

Izhar-e-Mohabat

Tasavur mein tumhare kuch aise khogaye
kisi aur ka to pata nahin, sirf tumhare hogaye

- Mannan Bhai

Hum lafzon se izhar nahi karte
Iska matlab yeh nahi ke hum pyar nahin karte
Kuch to baat hogi tumhari nazron mein
warna yeh ghalati hum baar baar nahin karte

- Mannan Bhai