Dastan-e- Mohhabat

Aaj apni dastan kalam seh likhun
Ya phir dil ki zuban seh kahun
Mein mohhabat phir seh karun
Ya phir khud ek kahani banun

Aye khuda bata teri raza kya hai...

Usko apne palkon ke chaman par rakhun
ya phir dil ke jarokhon par basavun
Mein usko apne aaghosh mein samavun
Ya phir uski zulfon mein bus javun

Aye khuda bata teri raza kya hai...

Uski umeed par harbar khara utrun
Ya phir apne zameer ko parkhun
Mein chahat mein farhaad banjavun
Ya phir apni zindagi savarun

Aye khuda bata teri raza kya hai...

Uski galiyon mein phir seh ghoomun
ya phir apni manzil ki aur badhun
Mein is kashm-a-kash ko todun
ya phir apni sanson ko rok dun

Aye khuda bata teri raza kya hai...

Aaj apni dastan kalam seh likhun
Ya phir dil ki zuban seh kahun
Mein mohhabat phir seh karun
Ya phir khud ek kahani banun..

Aye khuda bata teri raza kya hai...

4 comments:

Majju said...

bus itna keh sakta hoon
Wah Wah Wah Wah!

Anonymous said...

wah mohan miya wah!

Unknown said...

wah wah wah!!!! galib e mohan bhayya
kya badiya shayari hai,padkay dil khush ho gaya!!!!!

abdul moid said...

ise kehte hai kuch na khe kar bhi bahut kuch kehdena