Ishq ki Kahani

Mohobbat ki sada har dum yeh kahani hai
Duniya hai zalim, aur majboor jawani hai
Ishq ka Imtihan, ek shayar ki zubani hai
Jo Behjaye to khoon, aur na bahe to pani hai

Majnu, Ranjha, Heer aur Farhad ke siva
Hai ek aur kahani, jo logon ko sunani hai

Ishq mein jeena aur Ishq mein marjana
Zindagi hai yehi, aur yehi zindagani hai

Jiteji har dum, aur mar kar yeh malaal
jo kehni thi baat, woh baat abhi baaki hai

Arsh hai, Jannat hai, Farishta aur main hoon
aur hai yeh umeed, ke mulaqat abhi baaki hai

Mujhe lauta diya jaye, phir wohi duniya mein
Mara nahin hoon main, ke jazbaat abhi baaki hai

Dikhlana hai unhein, ki mohabbat hai kitni
abhi aur hai Ishq, aur Imtihaan abhi baaki hai

Gharz yeh, ke Fanaa hojaye, Dard yeh bayaan hojaye.
Phir ji uthegi khaak, yeh gumaan abhi baaki hai

Har saans mein tum, har lamhe mein tum
Hai dhadkan mein tum, ke Jaan abhi baaki hai

1 comment:

About me said...

oyee hoyeee , Sahi sahi mann gayee

Ishq mein doobey hue aap
Kya dekhoge sachayee ka aina
Yeh to zakm humne khayee apneaap
Toh pata chala dard-e-dil ka maikhana

aadab arz hai!!!
Ghalib-e-Mohan