Mein chala(Response to Ghayal)


Mein chala mein chala jindagi ki rah par
Roshini mili hai aaqibat(future life) ke dagar par

Kayee gunah kiyee teri chahat ki zidd par
Kuch maine kuch tumne harbar use mod par

Khata hamesha rahi mere daman par
Tu toh reh gayee pak(pure) ke chaman par

Mein chala mein chala jindagi ki rah par...

Tujhe rakha tha mere dil aur jan ki bazi par
Aur Mujh nachez ko wafa ke imthihan par

Be wafayee thi tere har ek tabbasum(Smile) par
Masoom mohan chad gaya pyar ke aatish par

Mein chala mein chala jindagi ki rah par...

Tofha diya tha maine pyar ke saugat par
Tukhra thi rahi tu hardam usee rukh par

Kho baitha mujko aur apnon ko ish aazmaish par
Aur tu samethi rahi apni khushiyan meri barbadi par

Mein chala mein chala jindagi ki rah par...

Ab jake sambala hun kisi kinare par
Na dekhunga mud kar tere dar par

Chalo doston shuru karen naya daur ish mukam par
Bhool javo purane zakhmo ko aaj ke ishraaq(Day break) par

Mein chala mein chala jindagi ki rah par
Roshini mili hai aaqibat ke dagar par

1 comment:

Majju said...

Mujhe ab pata chala,

Sher aap ka umda tha..
haseen woh ek jumla tha..
Kehta na aapko main bura bhala..
ke lutf-e-sher to ab pata chala..

"Bohut khoob, Wah, Wah, Wah!!"

acha hai...
Sher acha hai...
likhte rahiye..
ke khayal acha hai..