Ibrat ki Jaan

Jahan Main Hain Ibrat Kay Har Su Namoonay
Magar Tujhko Andha Kiya Rang-o-Bu Nay
Kabhi Ghaur Say Yeh Bhi Dekha Hai Tu Nay
Jo Maamoor Thay Wo Mahal ab Hain Sooonay

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaan Hai Tamasha Nahin Hai

Milay Khaak Main Ahl-e-Shaan Kaise Kaise
Makeen Ho Gaye La Makaan Kaise Kaise
Huey Naamwar Bay Nishaan Kaise Kaise
Zameen Kha Gayee Aasman Kaise Kaise

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaan hai Tamasha Nahin Hai

Tujhay Pehlay Bachpan Nay Barson Khilaya
Jawani Ne Phir Tujhko Majnoon Banaya
Budhape Ne Phir aake Kya Kya Sataya
Ajal Tera Kardegi Bilkul Safaya

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaan Hai Tamasha Nahin Hai

Yehi Tujhko Dhun Hai Rahun Sab Se aala
Ho Zeenat Nirali Ho Fashion Nirala
Jiya Karta Hai Kya Yunhi Marnay Wala
Tujhay Husn-e-Zahir Nay Dhoke Mein Dala

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaan Hai Tamasha Nahin Hai

Ajal Nay Na Kisra Hi Choda na Daara
Isi Say Sikandar Sa Fateh Bhi Hara
Har Aik Chodke Kya Kya Hasrat Sidhara
Parra Reh Gaya Sab Yahin Khaat Sara

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaan Hai Tamasha Nahin Hai

Zameen Kay Huey Log Paiwand Kya Kya
Maluk-o-Huzur-o-Khudawand Kya Kya
Dikhaye Ga Tu Chand Roz Kya Kya
Ajal Nay Picharray Tan-o-Mand Kya Kya

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaan Hai Tamasha Nahin Hai

Wo Hai Aaish-o-Ishrat Ka Koi Mehel Bhi
Jahan Taak Main Khari Ho Ajal Bhi
Bas Ab Is Jahalat Say Tu Nikal Bhi
Yeh Tarz-e-Maishat Ab Apna Badal Bhi

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaan Hai Tamasha Nahin Hai

Yeh Duniya-e-Fani Hai Mehboob Tujhko
Hui Wah Kya Cheez Marghub Tujhko
Nahin Aqal Itni Bhi Majzoob Tujhko
Samajh Lena Ab Chahiye Khoob Tujhko

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaan Hai Tamasha Nahin Hai

Budhape Se Paa Kar Payam-e-Qaza Bhi
Na Chaunka Na Cheeta Na Samnbhla Zara Bhi
Koi Teri Ghaflat Ki Hai Inteha Bhi
Junoon Chor Kar Apnay Hoshon Main Aa Bhi

Jab Is Bazm Say Chal Diye Dost Aksar
Aur Uthtay Chalay Ja Rahay Hain Baraabar
Har Waqt Paish-e-Nazar Hai Yeh Manzar
Yahan Par Tera Dil Behelta Hai Kyun kar

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaan Hai Tamasha Nahin Hai

Jahan Main Kahin Shor-e-Maatam Bapa Hai
Kahin Fikr-o-Faqah Say Aah-o-Baqa Hai
Kahin Shikwa`Jor-o-Makr-o-Dawa Hai
Gharz Har Taraf Say Yehi Bas Sada Hai

Jaga Jee Laganay Ki Duniya Nahin Hai
Yeh Ibrat Ki Jaan Hai Tamasha Nahin Hai

No comments: