Bhool sahi ke, Ru-Ba-Ru hojayiye
Yun Dil ki meri, Maheru Banjaiye
Nazar mile nazar se, na Sharmaiye
Karun main ab aur kya, yeh Batlaiye
Khushbu ude gulab ki, jo Lehraiye
Chaman khile bahar ki, Jo Khiljaiye
Kamaal-e-husn-e-Jaana to Dikhlaiye
Karun main ab aur kya, yeh Batlaiye
Josh-e-Husn ko ab kuch yun jagaiye
Paimane mein aag lage, jo Muskuraiye
Khoon-e-Jigar dikhladu jo, Farmaiye
Karun main ab aur kya, yeh Batlaiye
Zindagi hai shaad mein, na Tarsaiye
Manzil nahi door kahin, na Thamjaiye
Sanah karun khuda ki, jo Miljaiye
Karun main ab aur kya, yeh Batlaiye
Karun main ab aur kya, yeh Batlaiye..
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
Aapke sher ko phir seh samjayiye
Ush nazm ko ek bar phir doharayiye
kuch ache alfaz apne kalam seh likhwayiye
Thoda rehem ish nacheez par farmiyiye
Aadab arz hai !!!
I like this Blog.
Post a Comment